Followers

Urdu Poetry : Mere Khawab Meri Kahaniyaan │ Farhat Abbas Shah │ Hindi Poetry

Urdu Poetry : Mere Khawab Meri Kahaniyaan │ Farhat Abbas Shah │ Hindi Poetry


Poem: Mere Khawab Meri Kahaniyaan مرے خواب میری کہانیاں Poet: Farhat Abbas Shah فر حت عباس شاہ Voice: M.Usman Ali #merekhawab #merikahaniyann #farhatabbasshah #LafzKabhiMarteNahi #musmanali For More Videos, Subscribe Our channel Press The Bell Icon https://www.youtube.com/c/LafzKabhiMarteNahi مرے بے خبر تجھے کیا پتہ تری آرزوؤں کے دوش پر تری کیفیات کے جام میں میں جو کتنی صدیوں سے قید ہوں ترے نقش میں ترے نام میں مرے خواب میری کہانیاں مرے زائچے مرے راستے مرے لیکھ کی یہ نشانیاں تری چاہ میں ہیں رکی ہوئی کبھی آنسوؤں کی قطار میں کبھی پتھروں کے حصار میں کبھی دشت ہجر کی رات میں کبھی بدنصیبی کی گھات میں کئی رنگ دھوپ سے جل گئے کئی چاند شاخ سے ڈھل گئے کئی تن سلگ کے پگھل گئے تری الفتوں کے قیام میں ترے درد کے در و بام میں کوئی کب سے ثبتِ صلیب ہے تری کائنات کی رات میں ترے اژدھام کی شام میں تجھے کیا خبر تجھے کیا پتہ Mere Be-khabar tujhe kya Pata Teri aarzoo'on kay dosh pay teri kefiyat kay jaam mein mein jo kitni sadiyo se qaid hoon tere naqsh mein, tere naam mein mere zaaichay, mere raastay mere lekh ki yeh nishaaniyaan teri chaah mein hai ruki hui kabhi aansu'on ki kitaar mein kabhi patharo kay hisaar mein kabhi dasht-e-behr ki raat mein kabhi badnaseebi ki ghaat mein kai rang dhoop say jal gaye kai chaand shaakh say dhal gaye kai tan sulag kay pighal gaye Tere ulfato ke Qayaam mein Tere Dard ke Daro baam mein Koi kab se Sabt-e-Saleeb hai Teri kainaat ki Raat mein Teri Azdhaam ki Shaam mein Tujhe kya khabar, tujhe kya pata mere khuwaab meri kahaniyaan mere bekhabar tujhe kya pata #besturdupoetry #besthindipoetry #urdupoetry #hindipoetry #sadpoetry #lovepoetry

Post a Comment

Copyright © Lafz Kabhi Marte Nahi | Powered by Ali Brothers | Designed by OddThemes