kaisaal guzre
kai saal biite
shab-o-roz kī gardishoñ ka tasalsul
dil-o-jān meñ sāñsoñ kī parteñ ulTe hue
zalzaloñ kī tarah hāñptā hai
chaTaḳhte hue ḳhvāb
āñkhoñ kī nāzuk rageñ chhīlte haiñ
magar maiñ ik saal kī god meñ jāgtī sub.h ko
be-karāñ chāhatoñ se aTī zindagī kī duā de kar
ab tak vahī justujū kā safar kar rahā huuñ
guzartā huā saal jaisā bhī guzrā
magar saal ke āḳhirī din
nihāyat kaThin haiñ
mire milne vaalo
na.e saal kī muskurātī huī sub.h gar haath aa.e
to milnā
ki jaate hue saal kī sā.atoñ meñ
ye bujhtā huā dil
dhaḌaktā to hai muskurātā nahīñ
december mujhe raas aatā nahīñ
#besturdupoetry #besthindipoetry #urdupoetry #hindipoetry #sadpoetry #lovepoetry
Post a Comment