Followers

Urdu Poetry: Aakhiri Ped Kab Girega - آخری پیڑ کب گرے گا │ Akhtar Hussain Jafri │ Hindi Poetry

Urdu Poetry: Aakhiri Ped Kab Girega - آخری پیڑ کب گرے گا │ Akhtar Hussain Jafri │ Hindi Poetry


Poem: Aakhiri Ped Kab Girega - آخری پیڑ کب گرے گا Poet: Akhtar Hussain Jafri - اختر حسین جعفری Voice: M.Usman Ali #aakhiripedkabgirega #akhtarhussainjafri #LafzKabhiMarteNahi #musmanali For More Videos, Subscribe Our channel Press The Bell Icon https://www.youtube.com/c/LafzKabhiMarteNahi زمیں کی یہ قوس جس پہ تو مضطرب کھڑی ہے یہ راستہ جس پہ میں ترے انتظار میں ہوں زمیں کی اس قوس پر افق پر قطار اندر قطار لمحات کے پرندے ہمارے حصے کے سبز پتے سنہری منقار میں لیے جاگتی خلاؤں میں اڑ رہے ہیں زمیں کی اس قوس پر افق پر ہے نا بسر کردہ زندگی کی وہ فصل جس کا ہمیں ہر ایک پیڑ کاٹنا ہے یہ چاند جس پر قدم ہے تیرا یہ شہد جس پر زباں ہے میری یہ سبز لمحے یہ کرمک شب اسی گلستاں کے موسم ابر کے ثمر ہیں جہاں ہواؤں کے تیز طوفان منتظر ہیں کہ آخری پیڑ کب گرے گا zamīñ kī ye qaus jis pe tū muztarib khaḌī hai ye rāsta jis pe maiñ tire intizār meñ huuñ zamīñ kī us qaus par ufuq par qatār andar qatār lamhāt ke parinde hamāre hisse ke sabz patte sunahrī minqār meñ liye jāgtī ḳhalāoñ meñ uḌ rahe haiñ zamīñ kī us qaus par ufuq par hai nā-basar-karda zindagī kī vo fasl jis kā hameñ har ek peḌ kāTnā hai ye chāñd jis par qadam hai terā ye shahd jis par zabāñ hai merī ye sabz lamhe ye kirmak-e-shab usī gulistāñ ke mausam-e-abr ke samar haiñ jahāñ havāoñ ke tez tūfān muntazir haiñ ki āḳhirī peḌ kab giregā

Post a Comment

Copyright © Lafz Kabhi Marte Nahi | Powered by Ali Brothers | Designed by OddThemes